Monday, November 21, 2016

mere geet

lori

ae mere laKht-e-jigar tujhko salaam
ae mere noor-e-nazar tujhko salaam

chaand taaroN ki tarah duniyaa teri raushan rahay
tu kitaaboN meiN misaaloN ki tarah sab ko milay
nek naamo meiN rahay tu achchhe insaano meiN tu
tujh se is duniyaa ke mazloomon ko ik raahat milay

ae mere laKht-e-jigar tujhko salaam
ae mere noor-e-nazar tujhko salaam

jab bulaayenge buraayi ke wo aasaaN raastay
tujhko koi aesh ki shae jab kabhi achchhi lagay
jab sataayegaa tujhay aawara jismoN kaa Khayaal
yuN samajh lenaa ke haiN ye imtehaaN ke waaste

ae mere laKht-e-jigar tujhko salaam
ae mere noor-e-nazar tujhko salaam

tujhko bhar looN in nigaahoN meiN mere sabr-o-qaraar
saari KhushiyaaN, sab duaayeiN kar chalay tujh par nisaar
narm-o-nanhe haath se jab jab tu chhootaa hai hameiN
aisaa lagtaa hai farishtay kaa ho paakeeza saa pyaar

ae mere laKht-e-jigar tujhko salaam
ae mere noor-e-nazar tujhko salaam


Written on 16th April, 2004

safar

safar aaeena hai
ke jis meiN jhalakti haiN sab justujooeiN
ke jis meiN chamakti haiN sab aarzooeiN
safar bezubaaN hai
ye kehtaa nahi hai ke manzil kahaaN hai
ye chalne kaa ik naam hai ik bayaaN hai

apni muskuraahat bhi ik safar kaa naam hai
jo laboN se chalti hai aur diloN ko jaati hai
aaNsuoN kaa behnaa bhi ik safar kaa naam hai
jo palak se chhantay haiN daamano meiN girtay haiN
safar ke hazaaroN nishaaN hi nishaaN haiN
ye chalne kaa ik naam hai ik bayaaN hai

roz bantay rehtay haiN roz miT'tay rehtay haiN
sab wajood faani hai phir bhi ik rawaani hai
waqt ke thapeRoN se ye rawaani baaqi hai
qatra qatra zindagi ki bas yahi kahaani hai
kabhi Khatm naa ho ye wo daastaaN hai
ye chalne kaa ik naam hai ik bayaaN hai
safar aaeena hai
ke jis meiN jhalakti haiN sab justujooeiN
ke jis meiN chamakti haiN sab aarzooeiN
safar bezubaaN hai
ye kehtaa nahi hai ke manzil kahaaN hai
ye chalne kaa ik naam hai ik bayaaN hai


Written on 22nd April, 2004

milan

hawaa ko zulfoN se thaa ulajhnaa
zameeN pe shabnam ko aanaa hi thaa
hazaar rastay badal ke dekhay
nadi ko saagar se milnaa hi thaa

chalay diloN se nikal ke saaray
wafaa ke raahi ye kis safar pe
theeN chand saaNseiN jo saath unkay
luTaa ke aaye haiN ik nazar pe
hameiN ye miThaa saa dard ik din
diloN meiN apnay samaanaa hi thaa
hawaa ko zulfoN se thaa...........

zameeN se poochho ke aasmaaN se
kali se poochho ke gulsitaaN se
binaa kisi ke koi kahaaN hai
kisi ki Khaatir koi yahaaN hai
isi jahaaN meiN haiN rehtay ham tum
ye rasm ham ko nibhaanaa hi thaa
hawaa ko zulfoN se thaa ulajhnaa
zameeN pe shabnam ko aanaa hi thaa
hazaar rastay badal ke dekhay
nadi ko saagar se milnaa hi thaa


Written on 17th April, 2004

maajhi

dhaaraaoN meiN behti boonde haiN ham tum
sabhi boonde apnay apnay saahil ko
DhoonDay hai maajhi
O maajhi re, DhoonDay hai maajhi

aaNkhoN aaNkhoN sapnay tairaa kartay haiN
jaisay naiyaa behti jaaye hai nadiyaa meiN
sapnay haiN ye Doob bhi to saktay haiN
sapnay haiN ye TooT bhi to saktay haiN
jis ki dhun meiN behtay jaayeiN haiN ham tum
teri naiya meray sapnay apni apni manzil ko
DhoonDay hai maajhi
O maajhi re, DhoonDay hai maajhi

jeewan ke jitnay haiN sukh us paar teray
aisaa hi kuchh sochay hai us paar waalaa
jo bhi teray paas hai wo maaTi hai
jo hai us ke paas wo sab chaandi hai
apnay haasil pe har pal roye haiN ham tum
teraa haasil jaisay us ke haasil ko
DhoonDay hai maajhi
O maajhi re, DhoonDay hai maajhi


Written on 13th April, 2004

husn

apno ke sulagtay zaKhmo meiN
aur bhhok ke taptay sehraa meiN
ik husn kaheeN us paar jalay
be-noor charaaGoN ko le kar
Gurbat ke fasaano ko le kar
kis simt chalay kis dwaar chalay
ik husn kaheeN us paar jalay

us husn ke aagay roTi kyaa
jis husn ke KhaaboN meiN roTi
wo husn luTaaye haiN jis ne
duniyaa meiN mohabbat ke moti
be-taKht hai wo be-taaj hai wo
mazloom hai wo mohtaaj hai wo
kis simt chalay kis dwaar chalay
ik husn kaheeN us paar jalay

ham jis ke nishaaN ko sajda kareiN
be-naam-o-nishaaN honay ko hai wo
wo zikr ke jis se dil ko sukooN
ab Gam kaa bayaaN honay ko hai wo
be-Khaab nigaahoN ko le kar
be-rang adaaoN ko le kar
kis simt chalay kis dwaar chalay
ik husn kaheeN us paar jalay

Written on 14th April, 2004

umar bahaari

umar bahaari aayi re
lagan piyaa ki laagi re
phool kali muskaaiyaaN, sakhiyaaN
mehak mehak lalchaaiyaaN

saawan chaRhiye, badraa utreiN, rim jhim ke barsaaiyaaN
ik bhi taar chunariyaa kaa naa bheege naa hi bheegaaiyaaN
dil ko lagi harjaaiyaaN, sakhiyaaN
phool kali muskaaiyaaN, sakhiyaaN
mehak mehak lalchaaiyaaN
umar bahaari aayi re
lagan piyaa ki laagi re

kis ke aawan aas liye maiN saari raat bitaaiyaaN
sanjhiyaa sooraj aas jiyaa ki apnay saath DubaaiyaaN
sooni lagay sab ratiyaaN, sakhiyaaN
phool kali muskaaiyaaN, sakhiyaaN
mehak mehak lalchaaiyaaN
umar bahaari aayi re
lagan piyaa ki laagi re

kaun umariyaa, baaNki dagariyaa meiN pal pal kho jaaiyaaN
man de jaaweiN, jaaN luTwaaweiN, sudh budh apni gaNwaaiyaaN
haar ke sab sukh paaiyaaN, sakhiyaaN
phool kali muskaaiyaaN, sakhiyaaN
mehak mehak lalchaaiyaaN
umar bahaari aayi re
lagan piyaa ki laagi re

Written on 15th April, 2004

do jahaaN

do jahaaN ke faasiloN ke darmiyaaN
jism-o-rooh ki talaash ke nishaaN
ansuni si kuchh sadaaoN ke liye
apnay apnay naaKhudaaoN ke liye
rooh le ke jism apnaa aa gayi
ek dooji rooh se Takraa gayi
is tarah kuchh aashnaayi ho gayi
dard-e-dil ki rehnumaayi ho gayi
aur rishtoN ke chalay kuchh kaarwaaN
do jahaaN ke faasiloN ke darmiyaaN

zindagi ne thaam ke phir ungliyaaN
umr ke hamraah baRhti hi gayi
muR ke lauT jaanaa bhi mumkin na thaa
aur safar ki raah bhi ghaT'ti gayi
phir achaanak naaKhudaa ne ek din
rooh ko phir hukm tanhaayi ki di
zindagi ko umr keh ke alwidaa
jism ko is Khaak pe hi chhoR di
ik maqaam aisaa bhi aayaa yahaaN
do jahaaN ke faasiloN ke darmiyaaN

do jahaaN ke faasiloN ke darmiyaaN
ansuni si kuchh sadaaeiN reh gayeeN
naaKhudaaoN ki pakaareiN reh gayeeN
do jahaaN ke faasiloN ke darmiyaaN

Written on 1st April, 2004

ehsaas (male version)

ye kyaa ehsaas hotaa hai ye aaNkheiN kyuN barasti haiN
KhataaeiN itni haiN meri muaafi ko tarasti haiN

ye khultay aur lehraatay teray gesoo ki Khusboo haiN
ye meri aaNkh meiN tereay akelepan ke aaNsoo haiN
ye teray bheegay aaNchal ki duaaoN ki sadaaeiN haiN
lipaT kar mujh se kuchh kehti haiN zaar-o-zaar roti haiN
ye kyaa ehsaas hotaa hai........

ibaadat ki tarah jo paak haiN teri wafaaeiN haiN
tumheiN jo ranj-o-Gam pahuNchay wo sab meri ataaeiN haiN
maiN teray saamnay aaooN to kin lafzoN ke saath aaooN
meri sharmida Khaamoshi sazaa ki maang karti hai
ye kyaa ehsaas hotaa hai........

jahaan-e-be-Khayaali se baRi muddat meiN chhooTaa hooN
bahut taaKheer ki mainay baRi sadiyoN meiN lauTaa hooN
sazaa dogay to kuchh dil ko sukooN mil jaayegaa warna
meri parchhaaiyaaN mujh par hazaaroN taanay kasti haiN
ye kyaa ehsaas hotaa hai.........

Written on 2nd April, 2004

ehsaas (female version)

ye kyaa ehsaas hotaa hai ye aaNkheiN kyuN barasti haiN
ye dil kyuN bujhtaa jaataa hai sadaaeiN kyuN machalti haiN

tum is darja sataaogay to dekho TooT jaayegi
ye saaNsoN ki laRi haathoN se meray chhooT jaayegi
musalsal ek taareeki mujhay aawaaz deti hai
meri ummeed ki shammo ki lau bhi thartharaati hai
ye kyaa ehsaas hotaa hai.........

agar ab tum na aaogay to phir ye zindagi kaisi
Khudaa hi jab nahi hotaa to phir ye bandagi kaisi
na manzil ho to phir aisay safar ki aabroo kyaa hai
har ik lamha ye saaNseiN in sawaaloN se ulajhti haiN
ye kyaa ehsaas hotaa hai.........

Written on 2nd April, 2004

sharaab

bas ek peg aur saaqiyaa
phir us ke baad lutf dekhnaa

tu itni bhar de meray glass meiN
ke zindagi bhi laRkhaRaa uThay
maiN gir paRooN tu thaam le mujhay
phir us ke baad lutf dekhnaa
bas ek peg aur saaqiyaa...

ye ghoomti jahaan hai miyaaN
qusoorwaar kyuN hai Vodka
tu dil ki baat kar ye bill haTaa
phir us ke baad lutf dekhnaa
bas ek peg aur saaqiyaa...

ye roos kaa hai drink to kyaa huaa
ye maekada hai apnay mulk kaa
hameiN to chaahiye teri wafaa
phir us ke baad lutf dekhnaa
bas ek peg aur saaqiyaa...

Written on 3rd April, 2004

do saaye

shaam ke ThanDay saaye aur thaki si shabnam
chaand bhi ghaT'tay baRhtay jab ho jaataa hai bedam
ham bhi in manzar ke jaisay thak jaatay haiN
ik teri palkoN ke neechay dam letay haiN
jee letay haiN

chaand ke soKh nazar ne baadal se aaNkh laRaayi
raat bhi poochhay kis ke naam hai ye tanhaayi
sargoshi se sab mujh se poochhaa kartay haiN
ham teray KhaaboN ko oRhay so jaatay haiN
jee letay haiN

meri saari KhushiyaaN waabista haiN tum se
tum ho paas hamaaray to duniyaa apni hai
jab teri baatoN meiN gulshan kaa manzar ho
jab teray waadoN ki sab kaliyaaN apni haiN
ham teray lafzoN se daaman bhar letay haiN
jee letay haiN

teri aaNkhoN se uThti subhoN ko dekhaa
teray pehloo meiN jaanaa ke maryam kyaa hai
teri baaNhoN ne ham ko ye samjhaayaa hai
sooraj ki pehli kirno kaa aalam kyaa
ham teray qadmoN se raaheiN chun letay haiN
jee letay haiN

Written on 5th April, 2004

waabastagi

jaanay kab koi dil qareeb aa gayaa
kuchh pataa na chalaa
jaanay kab shaam-e-tanhaayee ruKhsat huyi
kuchh pataa na chalaa

chupkay chupkay hawaaoN ne saazish rachi
mujhko dekhaa kali muskuraane lagi
aur achaanak chaman meiN bahaar aa gayi
kuchh pataa na chalaa
jaanay kab koi dil qareeb.......
jaanay kab shaam-e-tanhaayee......

is qadar shaam rangeeN kabhi bhi na thi
is tarah subh meri mehakti na thi
kis ke haathoN ne baKhshi hai ye dilkashi
kuchh pataa na chalaa
jaanay kab koi dil qareeb.......
jaanay kab shaam-e-tanhaayee......

chaand palkoN pe meri Theharnay lagaa
aks kis kaa hai is meiN jhalakne lagaa
kis ki yaadoN meiN gum ho gayi chaandni
kuchh pataa na chalaa
jaanay kab koi dil qareeb.......
jaanay kab shaam-e-tanhaayee......

Written on 6th April, 2004







Thursday, July 30, 2015

pursish


tum us shehr meiN kaise ho?

maiN is shehr meiN tanhaa hooN

us shehr ke insaaN kaise haiN?

yaaN tum jaisa ik maiN hi hooN

kaliyoN meiN tamaazat kaisi hai?

phooloN ki nazaakat kaisi hai?

tum saa’at-o-lamhe ginwaao

us shehr kaa aalam batlaao

phooloN ki fizaa aur Khushboo ki

kuchh rang-o-hawaa aur miTTi ki

waaN raat kaa aalam kaisaa hai?

aur chaand ki lukka chhippi ki

kyaa bheeR wahaaN hai logo ki

kyaa waaN bhi tamaashe lagte haiN?

kyaa waaN bhi nigaaheiN takti haiN?

kyaa waaN bhi dareeche khulte haiN?

tum ek zaraa si baat ho to

kyaa ab bhi Khafaa ho jaate ho?

be zer-o-zabar si baatoN pe

dil khol ke ab bhi haNste ho?

Thehro ke zaraa ab dam le lo

ye harf-e-hiraasaaN rehne do

lafzoN ko zaraa sustaane do

ye lafz-e-pareeshaaN rehne do

ik baat tumheiN gar kehni ho

aur baat tumhaare dil ki ho

aadat ke mutaabiq tum ab bhi

de kar ke sawaaloN ki girheiN

kehte ho ki girheiN suljhaao

main jaantaa hooN ab bhi tum ne

ik baat hi kehni chaahi hai

wo baat bahut hi chhoti hai

par baat tumhaare dil ki hai

wo baat faqat itni si hai

kyaa yaad tumheiN main kartaa hooN?

kyaa yaad tumhaari aati hai?

Sunday, December 6, 2009

Collections of my poetry

dada jaan ke nazr

ham ko dikhla ke haram ka raasta
tum na jaane kis shabistaaN chal diya
tum se tha ik Ghamgusari ka bharam
tum hi tanha Gham ba daamaaN chal diye
-------------------------


qata

tum mere saath chal nahi sakte
Gham ke saaNche meiN Dhal nahi sakte
dard hontoN se kuchh nahi kehta
ashk lafzoN meiN Dhal nahi sakte
-----------------------------


qata

bujha do shammeiN jala lo dil ko
yahi sharaaet haiN bazm-e-jam ki
uThaa lo saaGhar Khudi miTa do
rasaa-e-manzil rah-e-adam ki
--------------------------------



Ghazal-1

ik shaKhs bahut mushkil se aadmi banta hai
muddat meiN saNwarta hai lamhoN meiN bikharta hai

har aah bhare dil meiN ik rooh machalti hai
har saaNs bhari jaaN meiN ik jism taRapta hai

wo paaki-e-maryam ho yaa daaman-e-yusuf ho
kab dekhti hai duniya aur kaun samajhta hai

har aaNkh samandar hai har Khaab lage moti
par Khaab haqeeqat meiN ik sang nikalta hai

is paikar-e-hasti ka har jaam saraabi hai
maangooN to nahi milta thaamooN to chhalakta hai

---------------------


Ghazal-2

chhoR jaane ki baat karte ho !
kyuN sataane ki baat karte ho !

ek wade pe umr guzri hai
tum nibhaane ki baat karte ho !

yuN hi pehle se jism Khaaki hai
dil jalaane ki baat karte ho !

ek kaaba liye main phirta hooN
sar jhukaane ki baat karte ho !

apni palkeiN TaTol kar dekho
muskuraane ki baat karte ho !

-----------------


Ghazal-3

kisi ke muskuraane se hameiN wehshat si hoti hai
kisi se dil lagaane se hameiN wehshat si hoti hai

na jaane kaun kya samjhe koi aashuftasar keh de
yahaaN kuchh bhi sunaane se hameiN wehshat si hoti hai

kaheeN ruswaa na ho jaaeiN nigaahoN ke ishaaroN se
teri mehfil meiN aane se hameiN wehshat si hoti hai

baRi muddat neiN aaya hai ye dil bandaa nawaazi pe
tere kooche meiN jaane se hameiN wehshat si hoti hai

----------------------


Ghazal-4

tum nahi hoge to aisa marhala ho jaaega
chashm-e-nam se dard-e-dil ka faasliaa ho jaaega

tujh se mera waastaa jab tak rahe achchha rahe
kuchh dino ki baat hai phir waaqeya ho jaaega

ham basad ajz-o-karam us se mile sar Kham kiye
kya pata tha sar jhukaana zaabta ho jaaega

Ghair ne poochha to farz-e-Khalq hona hai adaa
aap ne poochha agar to saaneha ho jaaega

in butaan-e-jaaN fizaa ko Khair karna chaahiye
ham ko ibraaheem kaa kab hausla ho jaaega

mujhko lauTa de wo mera dereena ahd-e-shabaab
hashr meiN warna tujh hi se waasta ho jaaega

-------------------


Ghazal-5

koi baddua bhi kare to yuN ke wo jaisa mera nadeem ho
koi chaaraagar na ho naa sahi koi dard-e-dil ka faheem ho

koi mehrbaaN na ho is qadar ke mile nazar to Khuda lage
main daGha karooN to dua kare koi is qadar na azeem ho

kabhi yuN bhi ho kisi moR par jaleiN muddatoN ke bujhe charaaGh
wahi main rahooN wahi tum raho waho daastaan-e-qadeem ho

koi dil se tere na jaaega koi Khaab ban ke sataaega
koi baar baar bulaaega to jahaaN kaheeN bhi muqeeM ho

koi aashnaa-e-wafa nahi koi naa shanaas-e-jafa nahi
yahaaN gaam gaam fareb hai tera shahr tujh pe raheem ho

wahi rang hai wahi noor hai wahi hai Khuda wahi toor hai
na ho taab tujh meiN kaleem ki haaN zara to zarb-e-kaleem ho

-------------------


Ghazal-6

zer-e-hangaama hai saara maiKhaana
dekho dekho aaya waaiz rindaana

ham ne socha ham se milne aaye ho
aaye bhi to haaye haajat mandaana

sab ke maathe par surKhi hai hoN toN ki
kehte haiN ye saaqi ka hai nazraana

zaKhmoN ki pehchaan zara ho jaane de
phir sochenge apna hai ya begaana

hasti apni apni sab ki duniya hai
apna apna sab kaa hai ik afsaana

-----------------


Ghazal-7

sab hadd-e-sitam tere andaaz-e-rasaaN Thehre
ham aah-o-fuGhaaN waale bad Khalq-o-zubaaN Thehre

ham ahl-e-qafas jaaneiN kya lutf-e-bahaaraaN hai
tum sar-o-saman le kar be sharf-e-KhizaaN Thehre

ham Khaana badoshoN ki taskeen bhi jhooTi hai
ye baar-e-safar utre jo umr-e-rawaaN Thehre

is dasht-e-tamanna meiN manzil ka pata bhoole
sab naqsh-e-qadam mere be naam-o-nishaaN Thehre

ye waz-e-karam aur ye andaaz tabassun ka
us husn-e-mujassam ke sab teer-o-kamaaN Thehre

----------------------


Ghazal-8

zindagi bhar ke imtehaaN meiN rahe
ham kahaaN kab kisi amaaN meiN rahe

bujh gayi shama-e-aarzoo-e-Ghareeb
tham gayi nabz aur gumaaN meiN rahe

toRna ahd ka bhi ahd hi tha
ham zubaaN rakh ke bezubaaN meiN rahe

seh chale jaane kis ke kaise sitam
kehne ko ham tere jahaaN meiN rahe

aainaa saaz sar-e-aainaa tha
ham pas-e-aks-e-mehrbaaN meiN rahe

--------------------


Ghazal-9

ye dard ki zameen hai ke dil ka ik dayaar hai?
ye kaun saa maqaam hai mazaar hi mazaar hai?

ye kis maqaam par hayaat leke mujhko aa gayi
jise bhi dekhiye yahaaN wo mera aks-e-daar hai

tumhaari justujoo liye khaRe haiN aise moR par
na shamma-e-hayaat hai na koi rehguzaar hai

kabhi to shaam-e-intezaar Khatm ho wisaal ho
kabhi to subh bhi kahe tumhaara intezaar hai

sanam jo koi hai to sang dil bhi hoga laaziman
ye saaneha bhi Khoob hai usi sanam se pyaar hai

----------------------

Ghazal-10

ye kis adaa meiN tera noor hai bikhar aaya
tamaam rangoN ke partau meiN tu nazar aaya

majaazi aaNkhoN meiN manzil ke faasile honge
maiN us maqaam se barsoN pehal guzar aaya

tamaam raat koi tha jo dast-e-daaman tha
khuli jo aaNkh to ik musht-e-besamar aaya

tumhaare aariz-o-gesoo ki taab kya laate
hijaab-e-ruKh pe tera naqsh hi jo kar aaya

bayaaz-e-subh na chilman shaboN ke Dhalka de
maiN us se pehle tujhe chhoR kar ke ghar aaya

---------------------


Ghazal-11

kabhi guzre na ho jin se tujhe raahoN meiN DhoonDa hai
tu wo shoKh-e-taGhaaful hai tujhe KhaaboN meiN DhoonDa hai

kisi ki Ghamgusaari ka bahram ye leke lauta hooN
masarrat apni wo saari mere zaKhmoN meiN DhoonDa hai

baRe naayaab hote haiN Khazaane ham KharaaboN ke
zamaane ne jinheiN ruswaa kiye logon meiN DhoonDa hai

ye sehra hai ya koi aabla-e-paa ka haasil hai
koi kaisa hai deewaana jo in jalwoN meiN DhoonDa hai

hamaari hasti kya hai aur hamaari iKhtiyaari kya
ye ik dhundli haqeeqat hai jise ashkoN meiN DhoonDa hai

-------------------


aalam-e-soz

ye subh ke daaman meiN shabnam ke jo qatre haiN
wo raat ki aaNkhoN ke paemaano se chhalke haiN

is dil meiN kaheeN shaayad ik dard ki basti hai
sab log haiN sheeshoN ke aur mom si hasti hai
KhaaboN ke gharoNde haiN ashkoN ke dareeche haiN
ye subh ke daaman meiN………………

kal bhi thi yahi duniya phir bhi hai nayi har pal
soqraat-o-maseeha ki Khaatir haiN wahi maqtal
sab dard puraane haiN bas log badalte haiN
ye subh ke daaman meiN………………

kuchh log pareeshaaN haiN saaNsoN ke taqaazoN se
kuchh log hiraasaaN haiN farad ke sawaaloN se
aur ham ke pashemaaN haiN maazi ko taraste haiN
ye subh ke daaman meiN………………

ham tum se wafa karte tum jor-o-jafa karte
aur misl-e-tamaashaai tum ham pe haNsa karte
ye rasm-o-rah-e-ulfat ham Khoob samajhte haiN
ye subh ke daaman meiN………………

kaaNToN ki hifaazat maiN phooloN ki Khushi dekhi
zaKhmoN ki tamaazat meiN kaliyoN ki haNsi dekhi
ye rasm-e-gulistaaN hai ye dard ke rishte haiN
ye subh ke daaman meiN………………

-----------------------------


nuqoosh-e-maazi

har ek manzar jo naqsh-e-maazi
ki tarha dil meiN dabe hue haiN
kabhi to ubhrenge mere hamdam
kabhi to fikr-e-giraaN karoge

mere tumhaare jo Khaab the kal
wo shahr-e-haq meiN aseer haiN ab
kise Khabar thi ke KhaabgaahoN
se tum akele nikal paRoge

jo muddatoN se hai ansuni si
jo ahd-o-paemaaN se mushkboo hai
dayaar-e-dil se jo uTh rahi hai
kabhi to aisi sadaa sunoge

maiN har maqaam-e-dil-e-fuGhaaN se
tujhe pukaaroonga mere pyaare
tere taGhaaful ki had kahaaN tak
kabhi to in se pare miloge

kitaab-e-maazi ke Khushk laala
jo is ke auraaq mein chhupe haiN
tumhaare dast-o-nazar jo honge
to ashk-e-nisiyaaN se khil uThenge

jo khil uThe to mehak uThenge
tamaam yaadoN ke wo shagoofe
jo muntazir haiN teri nazar ke
wo phir se yak baar jee uThenge

hayaat-e-nau se tamaam manzar
uThenge tum se rujoo karenge
kahaaN the hamdam mere kahaaN the
rifaaqati se gila karenge

fasurda shab ke daraaz lamhe
jo dard-e-hijraaN se aashna haiN
jo ahd-e-guzraaN ki daastaaN haiN
milenge tum se to ro paRenge

-------------------


ae koo-e-butaaN

(ek nazm Aligarh Muslim University ki un dosheezaaoN ke naam jinhoN ne maGhribi tehzeeb ko apna Khuda maan rakhkha hai)

kitne logoN ke tasawwur meiN tera naam zeya
kitne abwaab-e-mohabbat meiN tera naam likha
kitne logoN ke haseeN Khaab ki taabeer hai tu
kitne shoara ke Khayaalaat ki tehreer hai tu
kitni kaliyaaN jo teri Khaak ki raanaayi haiN
kitne hi log teri Khaak ke saudaayi haiN
kitne asnaam ko ik tu ne zeya baKhshi hai
kitne dil honge jinheiN tu ne shifa baKhshi hai
mehjabeeno ka haram hai tere kaashaane meiN
marmareeN but bhi haiN goya tere butKhaane meiN
ik tera naam jo sunte haiN machal jaate haiN
ik nazar dekh ke ham tujh ko behal jaate haiN

tu bahut Khush thi ke taareef kiye jaaenge
aujr is sar ko jhukaae tere paas aaenge
tujh ko Khud pe jo gumaaN hai to Ghalat hai wo gumaaN
aaj kar denge tere dar ki haqeeqat ko bayaaN
tu ne ham ko jo mohabbat ki fiza baKhshi hai
ham ne bhi tujh ko inaayat ki adaa baKhshi hai
kitna maasoom saa ye jhooTa bharam hai tera
apne sajdoN ka karam hai jo haram hai tera

ham ne jo kuchh bhi kaha wo to bajaa hai lekin
baad is ke bhi hameiN tujh se gila hai lekin
teru galiyoN meiN bhi maGhrib ka chalan aam hua
tere kooche meiN numaaish ka baRa kaam hua
tu ne maGhrib ki taraf aaNkh uThaai to qasam
apni tehzeeb agar tu ne gaNwaai to qasam
phir tere naam pe ham faKhr na kar paaenge
phir na chaahenge tujhe tujh se mukar jaaenge
ham duaago haiN ke tera ye chaman shaad rahe
tere darbaar meiN logoN kin a fariyaad rahe

-------------------


taraana-e-madrasa

ye gulshan-e-paareena jazboN ki sadaaqat hai
ham hamd ke laaeq haiN ye is ki inaayat hai

ye dars ka maeKhaana yaaN ilm ka saaGhar hai
yaaN saaqi-e-sheereeN lab har lehja moattar hai

yaaN shajr-e-tamaddun hai tehzeeb ke saaye haiN
iltaaf ki baarish hai shafqat ki fizaaeiN haiN

jo dil meiN sahar kar de yaaN shamma wo jalti hai
jo noor-e-nazar kar de yaaN shamma wo jalti hai

parween ki Toli hai Khusheed se chehre haiN
nargis bhi mahw-e-rashk yaaN aise shagoofe haiN

asbaaq mohabbat ke alfaaz sadaaqat ke
seekhe haiN yahaaN ham ne andaaz rifaaqat ke

toofaan-o-talaatum ka ham Khauf nahi karte
ham gardish-e-dauraaN se keh do ke nahi Darte

taareefeiN haiN sab teri haiN dast-e-talab tujh se
rehmat hai adaa teri haiN mahw-e-talab tujh se

allaah hamaari bas itni si araz sun le
is gulshan-o-gulcheeN par rehmat ki nazar kar de

-------------------


kisi ki yaum-e-paedaaish par

aaj har jalwe meiN hai pinhaaN tera rang-e-wajood
aaj ki shaam munawwar hai teri yaadoN se
aaj gadroon pe hai maanoos sitaaroN ka hujoom
uTh rahi hai teri qurbat ki mehak saaNsoN se
hai wahi tarz-e-bahaaraaN hai wahi naGhma-e-bul
chhan ke aati haiN shoaaeiN hai wahi subh-e-jameel

tu ne jab pehla qadam roo-e-zameeN par rakhkha
yuN laga jaise ke yak laKht bahaar aayi hai
rubaroo tum ko jo paaya to ye taskeen hue
ke mere naam bhi ik lams-e-maseehaai hai
teri aamad se masarrat hai sanam Khaane meiN
jaise koi but-e-nau aa gaya butKhaane meiN

aaj reh reh ke mere dil ko Khayaal aata hai
ek naayaab si taKhleeq hai ye tera wajood
aisi taKhleeq ke maiN kaise bataaooN kya hai
jaise ik shahr-e-wafa meiN huee ho subh numood
kabhi hamdam ki tarah to kabhi raanaayi hai
yaa kahooN yuN koi benaam shanaasaayi hai

lo chala aaya hooN is bheeR se tanhaayi meiN
tum juda ho meri duniya ki shanaasaayi meiN

-------------------


qawwaali

ek tu hai tere ik hone ka hai iqraar
tu Khuda hai tu Khuda hai
tu hi awwal tu hi aaKhir tu hi hai muKhtaar
tu Khuda hai tu Khuda hai

in kaleesaaoN meiN tu hai masjidon meiN tu
kaabaa-o-qiblaa tere haiN mandiroN meiN tu
sab shabistaano haram ki mehfiloN meiN tu
eu hi manzil hai sabhi kit u hi sab ka paar
tu Khuda hai tu Khuda hai……

kya sikandar kya qalandar
kya maseeha kya payambar
wo gadaa ho yaa ho qaisar
tere aage sab jhuke sar
tu Khuda hai tu Khuda hai
tu hi awwal tu hi aaKhir
tu hi pinhaaN tu hi zaahir
arsh ka tu noor-e-paekar
be neyaaz-o-paak-o-bartar
tu Khuda hai tu Khuda hai
ramz bhi hai raasta bhi
qurb bhi hai faasila bhi
dard-e-ulfat hausla bhi
baadshaah-e-do jahaaN bhi
tu Khuda hai tu Khuda hai
tu hi barhaq tu hi aadil
justujoo tu, tu hi haasil
dard ka tu husn-e-manzil
juz tere yaaN kaun kaamil
tu Khuda hai tu Khuda hai……

tu sifat meiN hai teri koi nahi tasweer
tere lauh-e-dast meiN hai aisi kuchh tehreer
goya ye aalam hai tera in ki hi tafseer
tu hi Khaaliq tu hi maula tu hi paalanhaar
tu Khuda hai tu Khuda hai…….

teri raahoN meiN fana hoN
aarzoo hai aarzoo hai
chaak phir apni qaba ho
aarzoo hai aarzoo hai
phir adam se aashna hoN
aarzoo hai aarzoo hai
aur Khirad se bhi riha hoN
aarzoo hai aarzoo hai
aarzoo’oN se juda hoN
aarzoo hai aarzoo hai
is junooN kit u jazaa hai
tu Khuda hai tu Khuda hai………

mauj-e-aalam ka kinaara
dar tumhaara
sab ke sajdoN ka ishaara
dar tumhaara
sab ke soz-o-Gham ka chaara
dar tumhaara
tu hi marham tu maseeha tu hi sab ka yaar
tu Khuda hai tu Khuda hai………

-------------------


zikr uska

woe k sholaa wo ik sharaara
kabhi bhaRakti kabhi machalti
kabhi Khafa ho to shaam lagti
kabhi wafa ka wo jam lagti
wo sar se paa ek maahpaara
ho kaise raushan koi sitaara
kabhi adaa se wo uThti palkeiN
kabhi hayaa se wo jhukti palkeiN
kabhi jhijhak kar kabhi machal kar
gale se lag kar simaT si jaati
zamaane ka Khauf dil mein bahrti
wo hasratoN ka janaaza karti
nigaahoN meiN ashkoN ke moti chhupaati
magar waqt-e-ruKhsat wo yuN muskuraati
ke jaise use kuchh hua hi nahi hai
yaa jaise mujhe kuchh pata hi nahi hai

-------------------------


Sir Syed…..ek ta’aarruf

wo ke jis ke noor se raushan hai ye saari fiza
wo ke jis ki har adaa thi ek momin ki adaa
wo ke jis ke haath meiN quraan ke farmaan the
wo ke jis ki aaNkh meiN bas qaum ke armaan the
wok e jis ne shab ko ro ro kar duaa-e-Khair ki
wo ke jis se zaahidoN ne be waja ki bair ki
wo ke jis ne tanz-o-taane meiN guzaari zindagi
wo ke jis ne phir bhi sidd-e-raah ko parwaaz di
wo ke jis ne mauj-o-toofaaN ko shikast-e-faash di
wo ke jis ne behr-e-zulmat meiN bhi kashti paar ki
wo ke jis ne Khaab dekhe to hamaare hi liye
wo ke jis ne dard jhele to hamaare hi liye
wo ke jis ke dard meiN pinhaaN hazaaroN baab the
wo ke jis ki chashm-e-beena meiN hamaare Khaab the
wo ke jis ke Khoon se sairaab hai apna chaman
wo ke jis ki mehn se shaadaab hai apna chaman
wo ke Khuld-e-bareeN ko kheeNch laaya Khaak par
wo ke jo dasht-e-junooN ko de gaya ik rehguzar
wo ke jo shahr-e-tarab ka de gaya tohfa hameiN
wo ke jo bazm-e-wafa ki de gaya shamma hameiN
haaN wahi hai shaKhs jis ka naam Sir Syed hua
haaN wahi hai shaKhs jis ne di hameiN ye darsgaah
assalaam ae muKhlis-e-qaum-e-musalmaaN assalaam
assalaam ae syed-e-hamd-o-sanaKhaaN assalaam
aaj tujh ko DhoonDte haiN ye dar-o-deewaar sab
muntazir haiN mehr-o-maah-o-anjum-o-aKhyaar sab
aa zara is bazm ka andaaz phir se dekh le
bulbul-o-shaaheen ki parwaaz phir se dekh le


-------------------


Khaamosh tamanna thi aur tum the nigaahoN meiN
ik Khaab pareeshaaN tha taabeer ki raahoN meiN

posheeda magar zaahir hai hasti koi warna
israar machalte kyuN kaunain ki baaNhoN meiN
-------------------



jaaiye aap se ham nahi bolte
aao wo haiN baRe ham nahi bolte

thaam kar haath jo unko kheNcha kaha
ab zara boliye ham nahi bolte
-------------------


ghar hai aashiyaana hai yaa koi fasaana hai
jis meiN aaj rehta hooN gumshuda zamaana hai

saaNs hi to chalti hai jism hi to baaqi hai
mujh ko zinda kehti hair ooh kaa bahaana hai

-------------------------


mutafaariq ash’aar

ajab maqaam-e-maseehaayi hai
saleeb shart-e-pazeeraayi hai

wasl aur ye paerhan hijaab ka
deed hai ke lutf hai saraab ka

maiN charaaGh-e-subh ki maanind tere saamne
jal raha hooN kis tawoqqo par hudood-e-Khaak meiN

ham ne sab rangoN meiN jal kar Khaak se rishta kiya
jaane kis ki kis adaa par mehrbaaN luT jaaega

zaKhm to phir zaKhm haiN wo phir hare ho jaaenge
muskuraaya phir kabhi to phir tere ho jaaenge

baRe Ghamgeen saaye haiN hamaare aashiyaane meiN
jinheiN ik umr lagti hai zara saa muskuraane meiN

-------------------------

Saturday, November 14, 2009

ibteda

"jis jalwagari ke naaz tale taKhleeq hui ye sajda rawi
us jalwagari se kuchh aage insaaN ko saNwarte dekha hai"